"Baarish"
Iss mausam ko sab pasand karte hain.
Par mere liye yeh baarish bahut haseen yaadein chhod gayi hain.
"Aaj bhi yaad hain mujhe"
Woh baarish ki boondein jo tumhari yaadein taaza kar jaati hain.
"Aaj bhi yaad hain mujhe"
Woh pehli baarish me tumhare saath bheegna, ek dusre par paani udana.
Bike pe sawaar hoke bheegte hue ghumna.
"Aaj bhi yaad hain mujhe"
Tumhare woh bheege hue baal aur tumhare baalon ko sehlana.
"Aaj bhi yaad hain mujhe"
Aur fir jab tumhe thand lagti thi to tumhare saath woh chai peena,
"Aaj bhi yaad he mujhe"
Fir jab tumhe zukaam ho jaata tha, gusse se mera roothna, aur fir tumhara mujhe mana na,
"Aaj bhi yaad he mujhe"
Aaj jab tum mere saath nahi par jab bhi baarish hoti he to bahut yaad aati ho tum aur woh din jab hum saath hua karte the.
Woh raastein jaha hum ghuma karte the,
"Aaj bhi yaad hain"
Aaj bhi tumhari yaadon ke saath har din, jee utha hoon mein,
Teri hi yaadon ke saath jee raha hoon me.
Tumhara hasna, tumhari aawaaz, tumhari aakhein,
"Aaj bhi yaad hain"
#D'raj